- Koi Apna Sa -
Suni suni sadko pe,
Koi toh musafir hota...
Kaali andheri raaton mein,
Koi toh tanhayoon ka saathi hota...
Shaant aur surili raaton mein,
Jagmagate sitaron k jaisa...
Kaale badalon k sang,
Koi toh chand jaisa saathi hota...
Rhim jhim savan mein,
Saat rangon jaise muskurata...
Reait mein paani jaise,
Koi toh aansuon ka saathi hota...
Yeh dil kuch na chahe,
Paharoon jaise akeli raina mein...
Bus chund saanson jaisa apna,
Koi toh saacha saathi hota...
-Fatima
P.S: My first ever hindi poem and the theme is friendship not love!



